WordPress Users Ke Liye Kuch Importent Bate
kya aap ko pata hai jo bhi website user, website ko chalane ke liye wordpress ka istmal kartein hai wah ek normal user se jyada successful hote hai, par aisa kyu. Asal mein unhein kuch tricks pata hoti hai jo shayad aap nahi jantein.
kai baar keval wordpress ko jan lena hi zaroori nahi hai aap ko kuch aise hackes ke bare mein bhi pata hona chahiya joki aap ko dusro se alag bana de.
WordPress ke tricks and usse related tips.
1_ Plugins ko dhayan se use kare.
Aaj wordpress ke liye 50000 se bhi jyada plugins hai. wordpress site mein plugins ko install karna zaroori hai par iska arth yah nahi ki 50000 plugins ko install kar lein. to iske liye zaroori hai ki hum kuch zaroori plugin ka hi use karein na ki sabhi ko apni site par plugin kar lein. bahut se plugin hotein hai jo ki price ke saath aatein hai. zyaada plagin use karne se aap ki site par bhar badhega, aur dusre plugins ke saath incompatibility issues ho jati hai.
incompatibility issues ke karan aapke major plugin kaam karna band kar saktein hai aur error produce karna bhi shuru kar saktein hai. aur saath is site speed bhi dhime ho jayegi.
iske liye zaroori hai ek behtar plugin ko chunna. kisi ek plugin ko chunne mein quality matter nahi karti. aap ko quality aur importance par dhyan dena chahiyein. kuch high quality plugins 30 mediocre plugin se behtar hai.
plugin ko chunte samaye kuch bato ka dhayan rakhna jaroori hai.
- plugin install karte samay is baat ka khyal rakhe ki uska author Esteemed ho.
- isbaat par bhi nazar rakhe ki wah pichale 6 mahine me update hua ho.
- plugin ka review aur download karne ki popularity ko bhi dhayan rakhna chahiye.
- usper kitne logo ka vishwas hai yah bhi zaroor padhe.
2_ Premium Theme
aap ki wordpress site ki sundarta is baat mein hai ki aap koun sa theme use kar rahe hai, is baat ka dhayan rakhe ki aap apne website par kaon se theme chunte hai.kyuki yah site ki ek trah se neev hai. Theme ko install karte samay sirf free hai is baat par hi use install na kare balki uski limitation aur function ke saath security issues par bhi dhyan de.
3_ Blog ke liye Best Web Hosting ka chayan
kisi bhi website ko chalane ke liye ek hosting ka bahut bada role hai yadi aap dusaro se kuch alag karna chahtein hai to aap ko ek Reliable Tested aur ROW hosting service chahiye. kuch khas aise moke hote hai jinme yadi aap web hosting kharide to aap ko ek behtar option mil sakta hai. jaise Chirstmas, Black Friday, Halloween etc.
insab bato ke alawa ek aur khas baat hai jin par dhyan dena bahut zaroori hai aur vah yeh ki apni website ke saath koi bhi experiment karne se pahle uss Website ka backup zaroor rakhe.
Yah Bhi Padhe…
Digital Ya Online Marketing Ki Shuruat Kis Trah Kare
SSL Certificate Ko Kharidne Se Pahle Jane Kuch Importent Batein