WordPress me Social Media Sharing Button kaise lagaye
Aaj best social sharing wordpress plugin me main aap ko bataoga ki kaise aap apni site par, kaon sa sharing wordpress plugin use kre joki aap ke liye achcha ho. Kyoki blog post ko share karna, hamari website ke liye bahut important hai,Ya yah kahe ki yah hamare wordpress blog ka ek hissa hai. vaise to wordpress me bahut sare social sharing plugin hai lekin unme se kaon sa best hai yah janna thora mushkil hai.Lekin koi baat nahi aaj main aap ko sabse best social share plugin ke bare me batauga jise aap apni website me use kar sakte hai. yah vakayi kmaal ka plugin hai. to chaliye iske bare me jane…
Iss plugin ka naam hai “AddtoAny Share Buttons” Jise aap apne wordpress me asani se install kar sakte hai. Ab main aap ko batauga ki aap ise kis trah se install kare.
1- Dashboard me jaye , Aur Plugin par click kare.
2- Add new par click kre.
3- Search Box Me AddtoAny Share Buttons likh kar search kare, dekhe kya ye Plugin hai jiska maine jikr kiya hai.
4- Ab Install pr click kare.
5- Iske baad vapas “All installed Plugins” me jaye. Active button par click kre.
6- Ab vapas scroll down karke usi AddtoAny Share Buttons Plugin pr aaye. Ab vaha setting likha hoga us par click kare.
7- Waha aap ko Standard aur Floating ke do option dikhai dege.
Agar standard ko select karege to yah website ke top par aap ke social share button ko dikhayega. aur yadi aap ne floating ka option chuna to yah aap ke blog ke side me social share button dikhayega. par aap ko jo pasand ho aur jo apne liye comfortable lage vahi choose kare.
8- Iske baad aap ko screen par ek “Add Remove Service” ka ek option dikhega Iss option me aapko apne site me koun koun se social share button lagana hai use chunna hai. aap apne hisab se facebook, Twitter aur Google+ jaise or bhi kai sharing button adjust kar sakte hai.aur iske saath hi niche aap ko ek or option dikhega iss option me aap social share button ke image pr apne pasand ka image laga sakte hai.
To dosto aap ko hamara aaj ka yah post kaisa laga hume comment section me likh kar zaroor bataiyega. aur iss post ko share karna na bhule taki yah zaankari aap ke dosto tak bhi pahuche aur vah bhi ek successful blogger banne ka sapna dekhe aur bane bhi…