How To Start a Blog With Best WordPress Plugins (In Hindi)
Aaj hum is blog ke zariye best wordpress plugin ke bare me janege, vaise to aap sabhi jante hai agar aap ki website or blog wordpress platform par bani hai to aap ko apne website ko optimize karne ke liye kai trah ke wordpress plugin ki zaroort padti hai to chaliye ab hum unhi Best wordpress plugins ke bare me jaante hai, jo aap k website traffic or rating ko badhayege.
Wordfence Security
Kisi bhi nayi wordpress website ke liye uski security bahut important hai, to yah WORDFENCE security plugin se aap ani website ko secure kar sakte hai aur iske saath hi yah aap ki website ko hack hone aur malware se protect karti hai. to isliye yah aap ki wordpress site ke liye ek behtar Sollutio ban sakta hai.WORDFENCE Security Plugins WordPress ka sabse jyada baar downloaded plugin hai. yah aap ki website ko bahut achche se protect karta hai, wordfence ka firewall aap ki website ko har trah ke hacking se bachata hai.
Iske aur bhi bahut sare feature hai for example- WordPress Firewall Realtime blogging, login security, Security Scanning, Monitoring feature, Multi-site security, Caching Feature, Free Learning sector about wordfence.
WP Content Copy protection and No Right Click
Yah bhi Wordfence ki trah ek Security plugin hai, lekin iska Security System Wordfence se thora alg hai jaise yah hamari website par koi bhi post likhi hui hoti hai to yah use copy nahi hone deta. matlab yah hamari website par kisi ko bhi right click kar kuch bhi copy karne se rokta hai.is WordPress Security Plugin se aap apne content ko safe rakh sakte hai, jiski wajah se use koi copy nahi kar sakta.
SOCIAL MEDIA FEATURE
Aaj aap dekh hi sakte hai ki jyada se jyada log Social Media par active hote hai aur bahut sare log Facebook, Twitter, Google+,or Instagram ka use karte hai. aur aapki wordpress website ka traffic badhne ke liye social media bahut hi usefull hai.To isliye yah bahut zaroori hai ki aap apni website me socialmedia ke icon button rake jisse ki aap ki site par visit karne wala Social Media Icon Button pe Click karke wo post ko share yaa phir follow ya like kar sakte hai.to iske liye hum yeh Social Media Feature Plugin use karte hai.
yah ek free Social Media WordPress Plugin hai. jise hum bahut hi jaldi Social Sharing and Following Feature apni sari post, page aur custom post me add kar sakte hai.
W3 TOTAL CACHE
YOAST SEO
Yoast ek free plugin hai jo ki sabse jyada use hone wale plugin ki list me aata hai. maximum blogger iska use karte hai. taki unki website google search me badhotri kar sake. yah aap ke wordpress seo ko improve karta hai, yah aap ko achche contect likhne me help karta hai, isme bahut sare SEO Improve krne ke feature hai jaise ki write better content with Yoast SEO improve karne ke feature hai for example- Technical WordPress Search Engine Optimization, Meta& Link, XML Sitemaps Social Integration , Edit your , htaccess and robot.txt file aur bhi bahut sare.
CONTACT FORM 7
Contact form best wordpress plugin me se ek hai, aur yah kafi essy hai contact page banane ke liye, iska fayda yah hai ki agar koi aapki website ka reader aapko contact karna chahta hai to wah aapko iski madad se aap ko contact kar sakta hai, yah ek business site ke liye bahut important hai kyoki yadi koi usee contect kare to us businessman ka busniess badhega.lekin yadi aap ko blogging se related koi question puchna hai to aap isske zariye contact kar sakte hai aur unke post par comment kar sakte hai.
Ek naye blogger ke liye ye sabhi plugins bhut important hote hai. inka use blogging ki shuruaat se hi karna chahiye jo ki hmesha aapke favorite plugins me rahenge.
Hey i am running an educational blog which is known as resultclub.co.in. Now i would like to change my theme. Any plugin for it…
aap theme chang krne se pahle preview dekh lijiyega ki vo sahi kaam kar rha hai ya nhai…q ki kayi baar new themes complications paida kar dete hai plugins ke sath…