How to setup Push Notification in WordPress Blog (in hindi)
Yadi aap ne apne blog pr pahle hi subscription option ko enable kr diya hai to aap ko apne blog me push notification zaroor add krna chahiye. aaj main aap ko PushEngage ko WordPress blog me kaise enable krte hai uske bare zankari dunga.
PushEngage ek web push notification service hai jise wordPress me use krte hai . Yah wordpress ke saath sath dusre or bhi kai platforms ko support krta hai Example– e-commerce site, Blogspot, Joomla, Drupal etc
PushEngage service ka use krke aap apne reader ko ek or subscription option de sakte hai lekin PushEngage service ka use wahi loog kr sakte hai jo aap ke blog ko chrome or safari se open krte hoge.yadi aap ek smartphone use krte hai to aapne dekha hoga ki bahut se apps ko open krte hi aap ke pass trah trah ke notification aate hoge un notification ka aane ka mtlb hai ki un sabhi apps ko banane wale loog us aap se related hr nayi chij ki zankari aap ko samaye samaye pr dete rahte hai thik isi trh aap apne blog pr bhi PushEngage ka use krke apne reader ko apne blog ki har new post ki zaankari de skte hai.
Web-Push Notification ko wordpress blog me kis trah enable kre.
Iss samye ye service chrome browser ke sabhi platforms jaise moblie & desktop me or Mac OS ke safari browser me support krta hai. yah step part bahut hi asan hai.ab hum ise step by step janege.
Sabse phale PushEngage ki website par jake apne account creat kre. yadi aap PushEngage service pe free account creat krna chahte hai tb aap ko us free account se hr mahine 2,500 subscribers ko unlimited push messages send kr sakte hai jo ki ek small or medium size blog ke liye kafi badiya hai.
PushEngage pr account create krne ke baad aap ko apne blog ka naam, blog ka url or blog logo waha add krna hoga yeh aap ke push notification ki branding ke liye bahut zaroori hai.ab apne wordpress ke admin panel login krke Go to plugin > Add New and search for ” PushEngage” uske baad PushEngage ko install krke usko active kr de. Activate karne ke baad aap PushEngage pr click krke uske Dashboard me jaye. PushEngage ko puri trah se activate krne ke liye aapko API Key ki zaroorat hogi.
API Key find krne ke liye PushEngage ke Dashboard me jake API Key pr click krna hoga. ab jub aap plugin ko activate kr lete hai uske baad aapko subscription setting ko configure krna hoga or iske liye aap ko Go to setting > Installation setting & add your logo. joki aap ke brand ki identity ke liye zaroori hai.
Amazing information
Thanks for in-depth article. I have enabled it.