Free Basic SEO Tools Jinse Website Ki Ranking Badhayi Ja Sakti Hai.
Aaj hum free tools ke bare mein baat karege, ki wah kaon kaon se tools hai joki aap ke blog aur website ke SEO ke liye acche hain.
Free use ke liye Available SEO Tools
Google Pagespeed insights
Iss Google tool ki madad se aap apne website ki speed ko asani se check kar sakte hai, ek blogger ke liye yah janna bahut zaroori hai ki uski website kitne samay mein load hoti hai yadi wah load hone mein samay le rahi hai to wah user ke liye pareshani ka vishay hai isliye aap ka ise check karte rehna bahut zaroori hai ki wah moblie friendly hai yaa nahi aur Google pagespeed insights aap ki ismein madad karega.
Keywordtools.io
yaha aap ko 700 se bhi jyada acche Keywords ideas mil sakte hai agar aap iska istmal karne ki soch rahe hai to yakeen maniye yah SEO Tool aap ke liye bahut achcha hai. sirf aap ko ek keywords enter karna hoga, aur yah aap ko bahut sare suggestion degaa jo ki high rank vale keyword honge…
Google Analytics
yah aap ko traffic se sambandhit jankari dega iski madad se aap yah jaan sakte hai ki jo traffic aap ke blog par aa rahi hai wah asal mein kaha se aa rahi hai yah aap ko bounce rate ke bare mein bhi batayega iske alawa aap isse apne user ke bare mein bhi jaan sakte hai ki wah kis city, country aur kaon sa system use kar raha hai.
Google Webmaster tools+ Bing Webmaster Tools
webmaster aapke wrbsite ki Url indexed aur search traffic ke bare mein batata hai ki wah kaya hai.
Google Keyword Planner
iski mada se aapko pata chalega ki kaon se keywords par monthly kitna search hota hai
Google Trends
yah tool sabse kamal ka tool hai kyuki yah tool aap ko google mein abhi kya trend mein search ho raha hai, uski jankari deta hai
Schema web
isse aap khud apni website ka search result customize kar sakte hai yani ki google mein search result kaisa dikhega. yadi aap ne kisi chej ka review diya hai to usmein review rating star dikha sakte hai.
Similar Web
yeh tool aap ki traffic compare mein madad karega yani iski madad se aap do website ki traffic compare par nazar kar sakte hai.
XML sitemaps
yah website ka URL Enter karne aur aap ke website ka sitemap ko dekhne mein aap ki madad karega aur phir aap webmaster tools mein jake ise insert kar sakte hai.
Find Broken Link
yah aap ke website mein aane wali errors ko khojega taki aap uss broken link ko nikal sake aur errors problem ko solve kar lein.
Ahrefs Site Explorer and Backlink Checker
isse aap apne site ki backlink check kar sakte hai aur saath hi referring page ki jankari bhi le sakte hai aap ke liye yah janna bahut zaroori hai ki aap ke site ki backlink kitni hai.
Schema web ke bare me mujhe samajh nhi aaya ki ye kaise kaam krega.plz bataye.