Bounce rate kya hai. Bounce rate Reduce karne ke 16 Important Tips-
What is Bounce Rate? Bounce rate kya hai?
Yah ek trah se kisi particular website par un visitors ki percentage ko batata hai, joki aap ki site ka ek page dekhne ke baad hi aap ki site ko chod kar chale jate hai. aasan bhasha me kahe to yah un visitors ke baare me batata hai joki aapki site par ek baar me sirf ek hi page ko dekhte hai aur kahi or chale jate hai.
Jaise maan lijiye, meri site ka bounce rate 54% hai, iska matalb yah hua ki hamari site par aane wale visitors me se 54% aise hai jinhone hamari site par sirf ek hi page open kiya. joki hamari site ke liye bilkul sahi nahi hai.
agar hum ek ideal bounce rate ki baat kare to yah 10% se kam ko kahege. 10% se kam bounce rate pane wali site vakayi bahut lucky hai, yaa yah kahe ki aisi lakho me se koi ek hi hogi jinka bounce rate itna kam hoga. Aur yadi website ka bounce rate 90% se jayada hai to aap ki site ke prati logo me koi intrest nahi joki aap ke liye khatrnaak ho sakta hai. iske saath hi yadi hum medieum level ki baat kare to 40% se 80% ke bech ka bounce rate thora sahi hai. Par ise kam karna aap ki jimmedari hai.
Bounce rate ko kam karne ka tarika-
Jayada nahi sahi visitor ko attract kijiye-
- Aap ka kam aapki website par jayada se jayada visitor prapt karne ka nahi balki targeted visitors prapt karne ka hona chahiye. Ab aap hi sochiye jise games aur music pasand hai bhala wah insaan website reading ko thori hi na kholna chahega. Isliye koshish kare un logo ko apni website par lane ki jo log aap ke blog me interested ho. naki un logo ko joki aap ki website par aakar sirf aap ka bounce rate badhaye.
- Iske liye zaroori hai ki apne content ke liye sahi keyword ka chunaav kare.
- apni website par bahut se unique content ke saath saath bahut se aur multiple pages ko creat kare.
- search engine me aane ke liye ek achchi meta description aur tittle dijiye.
- Aap jayada targeted traffic ke liye advertising ki madad le sakti hai.
Usability ko achcha banaye-
- Koi bhi aisi website ko kholna nahi chahega jo dikhne me achchi na ho yaa phir usme alag alag page ko browse karne ka experience achcha na ho.
- Ek achche font ka istmaal kijiye joki padhane layak bhi ho aur dekhne me bhi achcha lage.
- website ko bahut bright yaa light na kijiye.
- Apni website ki theme me color aur dusari visual chijo ka combination kuch aisa rakhe ki logo ko dekhne me achcha lage.
- Iss bat ka khas khyaal rakhe ki aap ki website har trah ki browser aur display par achchi trah se khule, Khas taor par mobile par kyoki aaj kal desktop ke mukable mobile par achcha traffic milta hai.
Page load time kam kijiye-
- Page load time kisi bhi website ke liye kam hona bahut zaroori hai. isliye iss baat ka bhi dhyaan de ki aap ki website ka loading time kitna hai aur phir jayada hone par use kam kare.
- Quality content ko hi provide kijiye-
- Iss baat ka khas khayaal rakhe ki aap ki website ke har page ka apna ek uniqe content hona chahiye.
- Aapko aap ke content me particular Niche ke reader ko hi targeted kare aur iske liye Niche specific keyword ka hi use kare.
- apne content ko error free rakhe.
- Apne content ke hisab se hi image aur video ka chunav kare.
sir mera bhi Bounce Rate bhut jada rahta hai, hamesha 80+ hi rahta hai…kaise kamkaru ise.
tips follow kariye aur keyword stuffing bilkul mat kariye
Thanks for sharing such a blog. It was really very helpful blog.
sir mere blog p traffic kaise increase kru